Diwali songs for for Diwali
Mere Tumhare Sabke Liye Happy Diwali
Yeh din jahaan mein har kahi bhar de roshani usi ke pyar ki
Dil dil se woh mila de har chehra woh khila de
Rut laaye aaj khushiyon ki
Yeh din yeh din jahaan mein har kahi kahi
Bhar de roshani roshani (usi ke pyar ki) – 2
Dil dil se woh mila de har chehra woh khila de
Rut laaye aaj khushiyon ki
(Mere tumhare sabke liye happy diwali
Saare sitaarein uske liye happy diwali) – 2
Ham sabhi mein har kisike dil mein hai wahi
Ho zameen ya asmaan ho woh hai har kaheen
Roshani – 3 yeh music ka naam hain
Yeh jahaan – 3 saara usi ka kaam hain
(Usne banayi sabke liye happy diwali
Saare sitaarein uske liye happy diwali) – 2
Usne kaha ke jab main kahu aayega woh mere liye
Kyun na bhala main duurr rahu aayega woh mere liye
Usne kaha ke jab main kahu (aayega woh mere liye) – 3
Duniya meri kaise chamke jaise roshani ne roshani ho bhar di har kahi
Duniya saari aaise mehake jaise iss khushi mein har kali ho mehaki har kahi
(Aaj jahaa bhi tum raho chalo saath hamare ab kaho say (happy diwali) – 2
Aaj miley tumse koi use tum bhi bade dil se milo say (happy diwali) – 2) – 2
Mere tumhare sabke liye happy diwali
https://www.youtube.com/watch?v=vms1M_uxO2U
Lakhon Tare, Aasman Me, Ek Magar Dhunde Naa Mila
Lakhon tare, aasman me, ek magar dhunde naa mila
Dekhke duneeya kee diwalee, (dil meraa chupchap jala -2)
Lakhon tare, aasman me, (ek magar dhunde naa mila -2)
Kismat kaa hai, nam magar hai, kum hai yeh duneeya walo kaa
Phoonk diya hai chaman humare khwabo aur khayalo kaa
Jee karta hai khud hee ghonth de, apne armano kaa gala
Dekhke duneeya kee diwalee, (dil meraa chupchap jala -2)
Sau sau sadiyo se lambee yeh, ghum kee rat nahee dhalatee
Iss andhiyare ke aage abb, aayee dil ek nahee chalatee
Hanste hee lut gayee chandnee, aur uthte hee chand dhala
Dekhke duneeya kee diwalee, (dil meraa chupchap jala -2)
Maut hai behtar iss halat se, nam hai jiska majburee
Kaun musafir tay kar paya, dil se dil kee yeh duree
Kantho hee kantho se gujra, jo rahee iss rah chala
Dekhke duneeya kee diwalee, (dil meraa chupchap jala -2)
Lakhon tare, aasman me, ek magar dhunde naa mila
Dekhke duneeya kee diwalee, (dil meraa chupchap jala -2)
https://www.youtube.com/watch?v=If7wCA40se8
Aayee Abb Kee Sal Divalee
Aayee abb kee sal divalee munh par apne khun male
Aayee abb kee sal divalee
Charon taraf hai ghor andhera, ghar me kaise dip jale
Aayee abb kee sal divalee
Balak tarse phuljhadiyo ko, (dipo ko divare -2)
Mann kee godee sunee sunee, (aangan kaise sanvare -2)
Rah me unakee jao ujalon ban me jinakee sham dhale
Aayee abb kee sal divalee
Jinke dam se jagmag jagmag (karatee thee yeh rate -2)
Choree choree ho jatee thee (man se man kee bate -2)
Chhod chale woh ghar me amavas, jyoti lekar sath chale
Aayee abb kee sal divalee
Tap tap tap tap tapke aansu, (chhalki khalee thalee -2)
Jane kya kya samjhatee hai (aankho kee yeh lalee -2)
Shor macha hai aag lagee hai katte hain parvat pe gale
Aayee abb kee sal divalee munh par apne khun male
Charon taraf hai ghor andhera ghar me kaise dip jale
Aayee abb kee sal divalee